Sunday, April 13, 2008

Ek UR, SAAQI(has lot of urdu wods)

ek qatra maut ka, fir galey mein daalaa hai,
halak mein zindagi sokh rahi thee, usko numm karney ko.

Kahtein hain sabhi kay haraam hai, hothon se laganaa tujhey,
humnay kaha, qadr heeray ki toh jauhari hi ko hai naa?

haan barbaad kar deta hai badan ko, nashaa woh cheez hai,
par main toh apni rooh ko bachaana chahta hoon.

Khoon kay cheeton saysanaa hoon, masoom begunahon kay
muhabbat, mazahab aur khuda kay naam pay maaartein hain jinko.

Chund alfaz jo meri zabaan mein bol nahi saktey, yaa paida huye kahin door mere mulk se,
haq nahi unko khud ko insaan kehnay ka,to fir zinda kyun chodoon main unko?


Bus isi say dar ke ,thodi der guum ho jaata hoon is ajeeb si duniya say,
khud pee kay jo mast hai nafrat aur vehshaton ke jaam.


aur pata nahi kis moonh say kehti hai humko,

"ki uski beti nay chadhaa rakkhi hai duniya sir pay, khairiyat guzari ke angoor ke beta na hua."

1 comment:

Saurin Gosar said...

I didn't get wht the last line meant..maybe because its written in english....otherwise the overall flow of the poem is beautiful...hindi words come difficult to use these days but u have done it nicely.....